kuchh dil ka talluq to nibhao ki chala main ya tut ke aawaz lagao ki chala main darpesh masafat hai kisi khwab-nagar ki ek dip mere pas jalao ki chala main is shahr ke logon pe bharosa nahin karna zanjir koi dar pe lagao ki chala main ta-dil mein tumhaare bhi na ehsas-e-wafa ho ji bhar ke mujhe aaj satao ki chala main mushtaq nigahon se ye sehr tut raha hai chehre pe koi rang sajao ki chala main is shahr-e-marasim mein to sangsar hua hun patthar hi sar-e-rah sajao ki chala main is tishna-labi par mujhe ezaz to bakhsho ai baada-kasho jam uthao ki chala main is darja taghaful ki nahin tab jigar ko tum aur bahane na banao ki chala main ek khwab hai wo khwab to pura karo 'sahil' ek sher mera mujh ko sunao ki chala main