bani thi kuchh ek us se muddat ke baad so phir bigdi pahli hi sohbat ke baad judai ke haalat main kya kahun qayamat thi ek ek saat ke baad mua kohkan be-sutun khod kar ye rahat hui aisi mehnat ke baad laga aag pani ko daude hai tu ye garmi teri is shararat ke baad kahe ko hamare kab un ne suna koi baat mani so minnat ke baad sukhan ki na taklif hum se karo lahu tapke hai ab shikayat ke baad nazar 'mir' ne kaisi hasrat se ki bahut roe hum us ki rukhsat ke baad