mujhko dil qismat ne usko husn-e-ghaarat-gar diya

mujh ko dil qismat ne us ko husn-e-ghaarat-gar diya
chur kar de kyun na wo shisha jise patthar diya

us se talib hun diyat ka aap se matlab nahin
jis ne gardan ek ko di ek ko khanjar diya

tha mukafat-e-amal ahbab ka husn-e-amal
ye bhi aisa qarz tha jo aur se le kar diya

ab na hai fikr-e-hifazat aur na ziq-e-raf-e-kar
dene wale ne diya aur meri khwahish bhar diya

girya-e-be-ikhtiyar-e-gham bhi tha fitri ilaj
jis ne thode josh ko har martaba kam kar diya

jis mein kaif-e-gham nahin baz aae aise dil se hum
ye bhi duniya hai koi mai to na di saghar diya

'arzu' ek roz dha deta mujhe mera hi zor
ye bhi us ki karsazi dil mein jis ne dar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close