main ne kabhi nazar na ki dil-kashi-e-hayat par meri tamam zindagi un ki jamaliyat par mujh ko hayat ke siwa chahiye ek gham-e-hayat tab-e-gham-afrin meri rah na saki hayat par wo bhi ghayur o sharmgin dil bhi nazakat-afrin chot lagi hai baat se baat badhi hai baat par chand hai aur chandni husn hai aur husn-e-yar mere hazar din nisar husn ki ek raat par husn yahan nazar-fareb dard yahan jigar-gudaz hae ki mit gaya 'nushur' jalwa-e-be-sabaat par