raqsan hua safina bhi pagal hawa ke sath dubenge hum zarur magar nakhuda ke sath is daur-e-be-hisi mein teri khak-e-pa se hum ilhaq mangte hain teri har raza ke sath ashkon ke pairahan mein yun lipti thi har khushi milta raha sukun nai ek saza ke sath yarab mere watan ke har ek ghar ki khair ho rahna hai ta-hayat hamein yan wafa ke sath shikwe shikayaton se bahut dur aa gae milte hain har kisi se magar hum ana ke sath diwar-e-dil ke sae mein baithe hain jo sabhi shamil hain dhadkanon ki 'shabi' har sada ke sath