be-daKHl dil se maine kiya KHwahishat ko

be-dakhl dil se main ne kiya khwahishat ko
hairat mein dal aaya hun main kaenat ko

qirtas ki dhamal pe nazren jamaiye
tapkega khun likhunga jab wardat ko

hum ne alag basai hai duniya fareb ki
paigham ja ke dijiye kina sifat ko

hai satwen jihat bhi koi to bata mujhe
dekhe hi ja raha hun teri shash-jihat ko

tarikh-e-din-faroshon mein likhegi un ka nam
jo shakl de rahe hain nae waqiat ko

aae ajal daboch le qissa tamam ho
kis ne kaha tarasta hun aab-e-hayat ko

ye ghair ka nahin kisi apne ka kaam hai
pahchanta hun apne parae ke hath ko

lagta hai sukh ka sans nahin aap ko 'aziz
'majid' na tul dijiye har ek baat ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close