baqa ki fikr karo khud hi zindagi ke liye zamana kuchh nahin karta kabhi kisi ke liye nahin hai waqf agar zindagi kisi ke liye to har qadam pe tabahi hai aadmi ke liye kamal jab hai ki us rah mein charagh jalao jo muddaton se tarasti hai raushni ke liye fareb-e-shauq fareb-e-nazar fareb-e-khayal hazar dam hain ek zauq-e-agahi ke liye tumhaari bazm mein kya shikwa-e-gham-e-hasti yahan to sans bhi neamat hai zindagi ke liye gulon ne aag laga di tamam gulshan mein zara si der ke lutf-e-shaguftagi ke liye koi to baat tere aastan mein hai warna hazar dar the mere zauq-e-bandagi ke liye wahan hawaon ke rukh bhi nigah mein rakhna jahan charagh jalate ho raushni ke liye na jaane kitni bahaaron ka khun hua hoga nigar-e-khana-alam ki dilkashi ke liye farogh-e-baada nahin hai harif-e-tishna-labi kuchh aur lao mere zauq-e-mai-kashi ke liye nigah-e-barq hai jab se mere chaman ki taraf duaen mang raha hun kali kali ke liye jo un ke gham se ho nisbat to har jahan mein 'kaif' masarraton ka khazana hai aadmi ke liye