saron pe dhup ka ek saeban rahne de zamin rahe na rahe aasman rahne de main aagahi ki fasilon ko chum aaya hun mere khuda tu mujhe be-zaban rahne de amir-e-shahr ka aiwan kanp utthega gharib-e-shahr hun mera bayan rahne de mere khuda tere dozakh ko khuld samjhunga main ek bashar hun mera imtihan rahne de mahak to gul ki har ek samt jaegi 'saib' wo chahta hai tujhe ye guman rahne de