dil-e-betab ko bahla chuki hun sitare aasman se la chuki hun nigah-e-kahkashan se puchh lena shua-e-zindagani pa chuki hun khirad ki tang wadi se nikal kar junun ki manzilat apna chuki hun andheron mein charaghan karne walo ujalon mein andhera pa chuki hun zamin ki pastiyon ko kyun gila hai jinhen main aasman batla chuki hun jahan par aql ruk jati hai aksar tasawwur mein wahan tak ja chuki hun tere kirdar mein muzmar hai azmat tujhe ai zindagi samjha chuki hun mohabbat sirf ruhani kashish hai gham-e-hasti tujhe apna chuki hun shuur-e-zist na-mumkin nahin hai nigah maut ko sharma chuki hun azizo ba-wafa fazl-e-khuda se maqam-e-bandagi apna chuki hun