'baqar' nishan-e-gham-o-ranj-o-alam to ho chhodo kuchh aur baat karo dard kam to ho ai kushta-e-khulus-e-mohabbat ba-kar-bash lab par shaguftagi na sahi aankh nam to ho har dam rahe hadis-e-mani se hum ko kaam zikr-e-khuda agar nahin zikr-e-sanam to ho kuchh to pia-e-shikast-e-sukut-e-shab-e-alam girya sahi fughan sahi kuchh dam-ba-dam to ho chashm-e-ghazal-o-husn-e-ghazal ka bayan rahe kuchh aisi baat jo pai-e-taskin-e-gham to ho qanun-e-bagh-bani-e-sahra to likh chuke unwan-e-zist bhi kisi surat raqam to ho ek umr tu ne tute pyalon pe kat di 'baqar' piye sharab koi jam-e-jam to ho