thodi si income ki khatir be-chaaron ko mar diya chand daktron ki hadtalon ne bimaron ko mar diya america mein t-v-chanel chupke se dar aae the chal nikle to urdu ke sab akhbaron ko mar diya abba-ji ke business se har bete ne munh pher liya kursi ki lalach ne kitne lohaaron ko mar diya har tali par note nichhawar har lai par london ka ticket lalu-khet ke qawwalon ne fankaron ko mar diya masnui baalon ka thappad kafi bhaari hota hai us ki zulfon ne hil hil ke rukhsaron ko mar diya ek wazir-e-azam hai ek bhai wazir-e-ala hai jamhuri dawedaron ne haq-daron ko mar diya maghrib ki tahzib ka hamla ab ke itna kari hai jeans ko sasta kar ke us ne shalwaron ko mar diya jitne bhi dil-phenk the shaer u-s mein aabaad hue night-kalbon ki raunaq ne bechaaron ko mar diya mazduri par jata hun to sher sisakte rahte hain dollar ki khwahish ne mere fan-paron ko mar diya