chal tu jita man liya na aa tu mujh ko haara dekh main qismat wale ko dekhun tu qismat ka mara dekh tufan sar par mandlae hai kitni dur kinara dekh main kashti ki haalat dekhun tu dariya ka dhaara dekh sar par aag ugalta suraj panw tale angara dekh apni duniya pith pe lade nikla ek banjara dekh majburi mein hansta joker pyasa hathi bhuke sher ab circus mein baith ja pyare khel tamasha sara dekh band gharon mein baith ke mat kar tu zulf-o-rukhsar ki baat khanjar meri gardan par hai khidki khol nazara dekh bhul gae kya qasmen wade sath mein hum ko chalna tha rah badalni hai kya tujh ko ja pahle kaffara dekh masnad par kyon dekh raha hai ghaur se apne hathon ko kya daman bhi dekh liya hai phir se dekh dobara dekh teri saf mein kaun hai apna kaun munafiq dekh to le khanak rahi talwar ka hoga lahja ek ishaara dekh rishte-nate zakhmi ho gae is diwar ke sae mein sadiyon ke pushtaini ghar mein aangan ka batwara dekh itni dur falak ki jaanib gardan mod ke takna kya ghar ke ek diye mein raushan suraj chand sitara dekh