hasrat-e-zohra-washan sarw-qadan hai ki jo thi apna sarmaya-e-dil yaad-e-butan hai ki jo thi kaj-kulahon se bhi sharminda na hone pae hum mein wo jurat-e-izhaar-e-bayan hai ki jo thi waza-dari mein koi farq na aaya sar-e-mu wahi aawargi-e-ku-e-butan hai ki jo thi main ne sarmaya-e-dil nazr-e-butan kar dala mere naseh ko magar fikr-e-ziyan hai ki jo thi meri aashufta-mizaji meri shorida-sari ab bhi maqbul-e-hasinan-e-jahan hai ki jo thi 'shauq' taqdir ne karwat bhi na badli ab tak zindagi ab bhi wahi sang-e-garan hai ki jo thi