fikr ke dhage mein lafzon ko piro dene ke baad

fikr ke dhage mein lafzon ko piro dene ke baad
main wo shair hun jo hans deta hai ro dene ke baad

hausla to dekhiye aae ayaadat ke liye
yar meri pusht mein khanjar chubho dene ke baad

yan nahin to wan khulega raaz mere qatl ka
bach nahin sakte lahu ke dagh dho dene ke baad

chhodne wale tujhe ma'lum hona chahiye
qimti shai dhundne niklega kho dene ke baad

zat ke sayyad hain apni baat ke pakke hain hum
dil to kya kuchh bhi nahin lete suno dene ke baad

hum mohabbat ki nazar se dekhte hain har taraf
nafraton ke bij zer-e-qalb bo dene ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close