bar-e-khatir baghban ka ne dil-azar-e-chaman sab se rahta hun alag jun khar-e-diwar-e-chaman ne dhuan dil se uthe yaro na parwana jale aatish-e-khamosh hun manind-e-gulzar-e-chaman sirf aaraish ko hun gul-ha-e-kaghaz ki misal bu kare mujh ko na koi aur na darkar-e-chaman bulbul-e-rishta-bapa latke hai shakh-e-gul se aaj sakht uljhede mein hai ya-rab gunahgar-e-chaman kya hue main kis se puchhun haal un ka ai 'nisar' ab nazar aate nahin wo naz-bardar-e-chaman