buzdil ya mazlum jahan mein kahlane se kya hoga tuti hi shamshir nikalo dar jaane se kya hoga kab tak ye taqdir ka rona aao kuchh tadbir karen aankh mein aansu chaak-e-gareban darshane se kya hoga bhuke ki tum bhuk mitao to phir koi baat bane shish-mahal ke khwab sunahre dikhlane se kya hoga dharti par sukh chain ki khatir man ke mail ko saf karo ganga jal mein jism ko apne nahlane se kya hoga ilm-o-hunar ko kaam mein lao mustaqbil ki fikr karo haal mein mazi ki bhulon par pachhtane se kya hoga mar ke thokar ruswai ko haq apna le lo 'maqsud' bech ke ghairat jam-e-murawwat chhalkane se kya hoga