hum ne jab koi bhi darwaza khula paya hai kitni guzri hui baaton ka khayal aaya hai qafila dard ka thahrega kahan ham-safaro koi manzil hai na basti na kahin saya hai ek sahma hua sunsan gali ka nukkad shahr ki bhid mein aksar mujhe yaad aaya hai yun liye phirta hun tute hue khwabon ki salib ab yahi jaise meri zist ka sarmaya hai shahr mein ek bhi aawara nahin ab ke baras mausam-e-lala-o-gul kaisi khabar laya hai un ki tuti hui diwar ka saya 'azar' dhup mein kyun mere hamrah chala aaya hai