ghira hun do qatilon ki zad mein wajud mera na bach sakega main zard jangal se bach gaya to pahad ek mushtail milega hazimaton ke safar ka rahi ufuq ko dekhega bebasi se ufuq se badhta hua samundar zamin ko qadmon se khinch lega jala ke ghar se raqib shamen hawa mein hum tum nikal pade hain yahi hai donon ko intizar ab ki pahle kis ka diya bujhega phir ek saffak sakht jhonka barahana-tar kar gaya shajar ko jab us ko dekhoge khatm-e-shab mein to patte patte se dar lagega gudaz jismon ki aahaton ka tilism tuta nawah-e-jaan mein faza se ab koi hath badh kar ujadte mausam mein aag dega