chhin le quwwat binai khudaya mujh se dekha jata nahin ab tera tamasha mujh se ek muddat se aza-dar-e-alam-dar hun main tutne wala nahin pyas ka rishta mujh se ghatta rahta hun main viran haweli ki tarah bhagta phirta hai hangama-e-duniya mujh se ab kisi mein bhi yahan tab-e-samaat na rahi koi sunta hi nahin hai mera qissa mujh se mujh ko har lamha qanaat ne sar-afraaz kiya muflisi warna tera bojh na uthta mujh se chain se katti hai ab khema-e-gum-nami mein koi rishta hi nahin khalq-e-khuda ka mujh se dekhta hi nahin wo meri bulandi ki taraf yani sharminda hai ab waqt ka zina mujh se faqa-masti mein bhi qaem hai meri kaj-kulahi aur kya chahti hai azmat-e-rafta mujh se kab utaroge mere jism se ghurbat ka libas puchhti hai meri diwar-e-shikasta mujh se