barae-nam sahi koi mehrban to hai hamare sar pe bhi hone ko aasman to hai teri farakh-dili ko duaen deta hun mere labon pe tere lams ka nishan to hai ye aur baat ki wo ab yahan nahin rahta magar ye us ka basaya hua makan to hai siron pe saya-fagan abr-e-arzu na sahi hamare pas sarabon ka saeban to hai alawa us ke na kuchh aur parda rakh mujh se fasil-e-jism mere tere darmiyan to hai bichhad ke zinda nahin rah sakenge hum donon mujhe ye wahm to hai un ko ye guman to hai bhali-buri sahi maujon mein apni naw to hai kata-phata sahi kahne ko baadban to hai gul-e-murad nahin sang-ha-e-tifl sahi gharib-e-shahr ka aakhir kisi ko dhyan to hai