ek shakhs apne hath ki tahrir de gaya jaise mera nawishta-e-taqdir de gaya ek dost mere qalb ki talif ke liye kuchh zahr mein bujhae hue tir de gaya barson ke baad us se mulaqat jab hui bite dinon ki chand tasawir de gaya ghere hue thi mujh ko shab-e-gham ki tirgi wo muskura ke subh ki tanwir de gaya chupke se raat aa ke mere ghar ke sahn mein ek chand mere khwab ki tabir de gaya main apne e'timad ka ehsanmand hun mujh ko zamane bhar mein jo tauqir de gaya wo kaun tha kahan ka tha kya us ka nam tha 'rahi' jo tere sheron ko tasir de gaya