un se bhi kahan meri himayat mein hila sar kahte the jo har baat pe hazir hai mera sar han ye hai ki aahista-kalami ka hun mujrim khamosh-mizaji to hai ilzam sarasar jis roz se aaya hai ye qatil ki nazar mein us roz se jhukne ki ada bhul gaya sar ghairat ke muqabil thi zarurat bhi hawas bhi ye marka mushkil tha magar hum ne kiya sar ek roz ek insan ne mujhe kah diya insan us roz bahut der na sajde se utha sar