dil hai mera charagh tera gham hai raushni main phir bhi kah raha hun bahut kam hai raushni pyase ko aab-e-did nahin zindagi se kam tishna koi nazar mein ho zamzam hai raushni itna qarib-e-jaan ho ki mahsus kar sakun main kam-nazar hun aur bahut kam hai raushni hamrah ja raha hai mere aaftab bhi is raushni ke sath koi dam hai raushni lipti hui ho kohr mein jaise kiran kiran ye kaun ro raha hai ki pur-nam hai raushni main ne wo khwab-gah bhi dekhi nasib se suraj tawaf mein hai jahan kham hai raushni 'tahir' abhi to hijr ki guzri hai pahli raat be-sudh charagh hain sabhi be-dam hai raushni