barahman le ke jo mere liye zunnar aaya us ne samjha ki yahi but ka kharidar aaya khud kharidar hua husn-e-butan ka wo kabhi ho ke yusuf wo kabhi bar-sar-e-bazar aaya shauq thame tha kamar aur tamanna bazu ku-e-jaanan mein mera jab dil-e-bimar aaya lala-rukh kaisa hai dekhun to zara chal ke use kis liye dil ki imarat mein na wo yar aaya roz-e-raushan si shab-e-tar hui aankhon mein jis ghadi yaad tera gesu-e-khamdar aaya hasrat-o-yas-o-tamanna ke mile pushtare karwan ishq ka mujh tak ye liye bar aaya kya daraata hai mujhe tegh dikha kar qatil maqtal-e-ishq mein marne ko main tayyar aaya talkhi-e-marg bhi dene lagi mujh ko lazzat sar-e-baalin dam-e-murdan jo mera yar aaya mere dilbar ke tasawwur ne kiya is ko hasin main na samjha ye qaza aai ki wo yar aaya koi le ja ke mere dil ko ye kahta us se le tere gesu-e-pur-kham ka giraftar aaya ai 'jamila' na mila but na mila mujh ko khuda main to us hasti-e-mauhum mein be-kar aaya