dhadka hai rah-e-gham mein mera dil jagah-jagah dawa hua hai zabt ka baatil jagah-jagah khoya gaya hun rah-e-wafa mein kuchh is tarah phirti hai dhundhti mujhe manzil jagah-jagah bas ek nigah-e-lutf ki hasrat liye hue phirta hun ban ke husn ka sail jagah-jagah tufan-e-bahr-e-gham mein yunhi dub-dub kar paida kiye hain ishq ne sahil jagah-jagah jite bane hai gham mein na marte bane hai ab darpesh hai bas ek yahi mushkil jagah-jagah rang-e-shafaq ye tabish-e-anjum ye bu-e-gul hai khun-e-arzu mera shamil jagah-jagah dekhe to kaise husn-e-haqiqat-nishan ko aankh parde hain ehtiyat ke hail jagah-jagah hai zarra-zarra khak ka ek hashr darkinar irfan-e-gham hua mujhe hasil jagah-jagah aalam wo shauq ka hai ki rukte nahin qadam mana ki gham hai dil se muqabil jagah-jagah is justuju-e-husn ne aawara kar diya phirta hai mujh ko le ke mera dil jagah-jagah 'sahir' mujhe malal kisi se ho kis liye mere sukhan ke aaj hain qail jagah-jagah