mera dil na tha alam-ashna ki teri ada pe nazar padi wo na jaane kaun sa waqt tha ki bina-e-khun-e-jigar padi jise chahe malik-e-rang-o-bu usi be-rukhi mein nawaz de main idhar tha muntazir-e-karam wo nigah-e-naz udhar padi tera kaam sair-e-mudam hai na ki gulsitanon mein thaharna ye kali kali ke fareb mein tu kahan se baad-e-sahar padi koi mauj-e-bahr se dur hai to jabin-e-bahr pe kya shikan teri rahmaton ko hua ye kya meri laghzishon pe nazar padi tujhe kya ho qadr malal ki tu hai na-rasida-e-zindagi jo bahut phire hain gali gali tu jabin pe gard-e-safar padi sar-e-rah un ko ba-yak-nazar kabhi dekhiye to wahi ada wahi be-niyazi-e-mahwashan wahi zulf ta-ba-kamar padi ba-nigah-e-saqi-e-mahr-o-mah kabhi khali jam nahin raha main zamin pe dhund raha tha kuchh ki wo kahkashan se utar padi jo hudud-e-subh mein ruk gaya use ittifaq-e-safar kaho main wahi musafir-e-sham hun mere raste mein sahar padi