barf se ladta tha mere pas pani kyun nahin ab sawal uthta hai dariya mein rawani kyun nahin dastan padh kar meri akhbar mein rota hai wo aa ke sunta dukh mera meri zabani kyun nahin main tera be-khwab bachcha man bata mere liye koi lori kyun nahin koi kahani kyun nahin dubna chahunga to khushki mein ho jaunga gharq main na puchhunga kabhi dariya mein pani kyun nahin mera qad uncha hai lekin ba-hunar wo bhi to hain shahr ke bolon pe teri mehrbani kyun nahin pas us ke paisa bangle gadiyan shohrat bhi hai 'ashk' ji wo shakhs phir bhi khandani kyun nahin