bashar ki zad mein junun bhi hai aagahi bhi hai ye musht-e-khak farishta bhi aadmi bhi hai hazar haif wahi dushmani pe hain mail wo log jin pe hamein haqq-e-dosti bhi hai dayar-e-ishq mein aise gada bhi dekhe hain ki jin ke zer-e-kaf-e-pa shahanshahi bhi hai fasana jis ko samajh kar bigad rahe ho tum jo sun sako to wo ahwal waqai bhi hai hawas sharik ho is mein to maut hai warna jo sidq ho to mohabbat mein zindagi bhi hai har ek tar-e-rag-e-jaan mein naghmagi bhar di sitam ki us pe ye talqin-e-khamushi bhi hai wafa ka zikr to karte hain raat din sab log wafa zamane mein lekin kahin rahi bhi hai payam-e-wasl diya hai hamein adu ke hath karam ke sath ada-e-sitamgari bhi hai ye dil jo waqif-e-asrar-e-do-jahan nikla khusha-nasib ki ye khud se ajnabi bhi hai surur ishq ka hai zarf-e-dil pe dar-o-madar ye daimi sa nasha bhi hai aarzi bhi hai tu pi ke lutf uthata hai ya bahakta hai utha ki shishe mein ek dew bhi pari bhi hai hujum-e-gham ke andhere bhi dil mein hain lekin kisi ki yaad ki ujli si raushni bhi hai rahin-e-wusat-e-daman hai ishq ki khairaat sakhi ke ghar mein kisi baat ki kami bhi hai