barhaman but-kade ke shaikh baitullah ke sadqe kahen hain jis ko 'sauda' wo dil-e-agah ke sadqe jata den jis jagah hum qadr apni na-tawani ki agar kohsar wan howe to jawe kah ke sadqe na de taklif jalne ki kisu ke dil ko mere par asar se dur rahti hain main apni aah ke sadqe ajaib shaghl mein the raat tum ai shaikh rahmat hai main us rish-e-buland aur daman-e-kotah ke sadqe nahin be-wajh kuche se tere uthna bagule ka hamari khak bhi jati hai teri rah ke sadqe kabhu wo shab bhi ai parwana haq baham dikhawega tu bal bal shama par jawe main hun us mah ke sadqe dikhati hai tujhe kis kis tarah 'sauda' ki nazron mein jo ho insaf to jawe tu us ki chah ke sadqe