juda kya ho gae tum se na phir yakja hue khud se mila wo ikhtiyar aakhir ki hum tanha hue khud se tah-e-ab-e-dil-o-jaan motiyon ki tarah rahte hain jo manzar is jahan-e-khak mein paida hue khud se chhupa lete teri surat hum apni aankh mein dil mein lab-e-goya ke hathon kis liye ruswa hue khud se udi wo khak-e-dil surat nazar aati nahin apni pareshan ho gae itne ki bargashta hue khud se wo jhelen sakhtiyan jaan par ki dil patthar hua apna bachaya is qadar khud ko ki be-parwa hue khud se mila wo nur aankhon ko ki be saya hue hum bhi hijab-e-la-makan paya jo be-parwa hue khud se pade the be-khabar kab se khamoshi ke samundar mein hawa aisi chali hum zamzama-paira hue khud se ab is zauq-e-huzuri ke maze kis se bayan kijiye hum apni khalwaton mein kis tarah goya hue khud se 'nadim' apne safine ko baha kar le gae har-su jo tufan qulzum-e-jaan mein mere barpa hue khud se