hai wahm jaise koi naqsh ye duhai de ye zarb-e-tesha mujhe sang se rihai de natija-e-darun-bini tha kis qadar be-kaif kuen mein dur tak ab ret hi dikhai de hisar-e-gosh-e-samaat ki dastaras mein kahan tu wo sada jo faqat jism ko sunai de ye kis talab ki hawaen masham-e-jaan mein chalin ki jalte gosht ki khushbu faqat sunghai de chalo ki donon hon gardab-e-ittisal mein gharq na jaane waqt kise sahil-e-judai de hara-bhara hi rahega wo khwahishon ka darakht hawa hazar use barg-e-na-rasai de 'musawwir' us se kaho umr bhar na mil pae bada hai jurm aziyyat bhi intihai de