hath thame chal pada hai qafila ummid ka har gali kuche mein barpa jashn jaise id ka sun ke aahat daudta hai jism mein aise lahu dekh kar aaya ho baalak chand jaise id ka sans thame muntazir hun kam sukhan ke lab hilen khatm ho ye silsila khamosh ek tamhid ka maut se wada nibhana sikh le tu zindagi umr bhar rakkha hai tu ne muntazir ek did ka yun talluq hai hamari dhadkanon ka aap se dil ke sahraon mein baadal ho koi ummid ka pesh-e-jaan 'sima' ka nazrana ho gar us ko qubul muntazir hai dil hamara aap ki taid ka