duniya-e-justuju mein tamasha bana hua

duniya-e-justuju mein tamasha bana hua
phirta hun shahr-shahr tujhe dhundhta hua

dil ki tajalliyon mein tujhe dekhta hua
sar-ta-ba-pa hun aaj main manzil bana hua

allah re jazb-e-shauq ki sehr-afriniyan
jitna tere qarib hua gham siwa hua

kis ko sunaen kis se kahen haal-e-karwan
hai rahbar ke bhes mein rahzan chhupa hua

namrud ki khudai se ye daur kam nahin
mera bhala hua na tumhaara bhala hua

masumiyat kahun ki ise bhi ada kahun
dil chhin kar wo puchh rahe hain ki kya hua

rakhta hun zindagi se ziyaada use aziz
dil mein jo ek 'dard' hai tera diya hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close