bazm se aaKHir-e-shab hai safar-e-jam-e-sharab

bazm se aakhir-e-shab hai safar-e-jam-e-sharab
sham-e-ghurbat hui saqi sahar-e-jam-e-sharab

mast-o-sarshaar ko sarshaar sanbhaale kya khak
na thami dast-e-subu se kamar-e-jam-e-sharab

kasrat-e-majma-e-aghyar se mahrum raha
na hua bazm mein mujh tak guzar-e-jam-e-sharab

mohtasib dega jawab apne sitam ka tu kya
kal jo kausar pe hua dad-gar-e-jam-e-sharab

ye bhi ai mohtasib us lal pari ka hai asar
ud ke pahunchi hai jo tujh tak khabar-e-jam-e-sharab

bazm-e-dushman mein rahe aap to sufi ban kar
surkh aankhon mein kahan hai asar-e-jam-e-sharab

nahin ma'lum ki ai 'dagh' hai tu kis dhun mein
na talash-e-but-e-mah-wash na sar-e-jam-e-sharab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close