barson ke jaise lamhon mein ye raat guzarti jaegi tum samne aae gar dil ki dhadkan bhi thahar hi jaegi parde mein rahun aankhen meri betab to hain par tab nahin be-tabi-e-dil lamhati hai haalat ye sambhaali jaegi aaina-e-dil shaffaf to ho hum ko bhi sanwarna lazim hai hum ko bhi pata hai milne par chehre ki bahaali jaegi kuchh khud mein kashish paida kar lo ki mahfil tum se aankh bhare ye chaal bade ayyar ki hai ye chaal na khali jaegi ai kashif-e-soz-e-hasti sun hai tujh mein nihan asrar ki bu gar tera guzar gulshan se hua har baat nikali jaegi