barson tap-e-alam ke shoalon mein tapa hun jab ja ke main khurshid-e-jahan-tab bana hun kal jada-e-hasti ka main khud rah-numa tha aaj apni hi hasti ka pata puchh raha hun kal tak tha ziya-bar tumhein yaad to hoga ye man liya aaj main bujhta sa diya hun hairat ki hai ye baat ki tanwir-e-sahar mein main aaj sitaron ki tarah dub raha hun duniya ki haqiqat ko wo samjhega bhala kya jis ko nahin ma'lum ki main kaun hun kya hun