muddat se dar pe hai mere tala paDa hua

muddat se dar pe hai mere tala pada hua
main apne ghar se hun kahin bahar gaya hua

jo thi lakir nur ki wo hai miti hui
jo hai charagh taq mein wo hai bujha hua

baaten khayal-o-khwab ki karta nahin hun main
dekha hai main ne dasht mein dariya pada hua

donon hi ke mizaj mein takhrib thi bahut
us ka bhala hua hai na mera bhala hua

phir us ke baad aasman tera banega kya
main is zamin ki qaid se jis din riha hua

bagh-o-bahaar bhi hun main viran bhi hun main
khushiyon ke sath sath hai gham bhi laga hua

diwar-o-dar se wahshaten jati nahin 'sahar'
ek dasht hai makan se mere mila hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close