kis sadgi se chhoD diya hai bahaw par

kis sadgi se chhod diya hai bahaw par
haalan ki hum sawar hain kaghaz ki naw par

hum khilkhila ke hanste hain har taza ghaw par
kuchh log mo'tariz hain isi rakh-rakhao par

ye aag bhi unhin ki lagai hui to hai
jo log hath tap rahe hain alaw par

shahr-e-sukhan ka tarz-e-tijarat ajib hai
bikte hain fikr-o-fan bhi to mitti ke bhaw par

rahzan hain ahl-e-qafila hain aur gard-e-rah
rahbar ko chhod aae hain pichhle padaw par

hum bekason pe itna munasib nahin hai zulm
chinta bhi kat leta hai akasr dabaw par

mumkin nahin hai ishq ki bazi ko haar jaen
dil jaisi chiz hum ne lagai hai daw par

wo shakhs zindagi ki bulandi na chhu saka
wo jis ka sans phul gaya ho chadhaw par

'ishrat' khulus-o-mehr-o-wafa dosti ki laj
bikti hain sari chizen yahan ek bhaw par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close