dur tak phaila hua pani hi pani har taraf ab ke baadal ne bahut ki mehrbani har taraf hadse har mod par hain ghat mein kya kijiye kis qadar arzan hai marg-e-na-gahani har taraf ja chhupe andhi gupha mein jo qad-awar log the aur baunon ki hui hai hukmarani har taraf aag ke chappu hawa ke baadban mitti ki naw aur ta-hadd-e-nazar pani hi pani har taraf bebasi par apni khud alfaz hairan hain 'shabab' istiaron ne badal dale maani har taraf