barun-e-dar nikalte hi bahut ghabra gaya hun main jis duniya mein tha kyun us se wapas aa gaya hun koi sayyara mere aur us ke darmiyan hai main kya tha aur dekho kis tarah gahna gaya hun mujhe ras aa na paenge ye pani aur mitti ki main ek aur mitti se hun aur murjha gaya hun main patthar chum kar tahlil ho jaata hawa mein magar zinda hun aur haihat wapas aa gaya hun kahan main aur kahan darbar ka jahl-o-takabbur magar ek ism ki tasbih jis se chha gaya hun