par saubat raston ki garmiyan bhi de gaya aane wali chhanw ki khush-fahmiyan bhi de gaya sakht bijon se sunahri baaliyan bhi bhar gain garm jhonka mausamon ki sakhtiyan bhi de gaya baadalon ki aas us ke sath hi rukhsat hui shahr ko wo aag ki be-rahmiyan bhi de gaya ehtisab us ka amal tha us se wo farigh hua waqt sadkon ko luti shahzadiyan bhi de gaya bebasi aur bhuk mein jo hausle deta raha pyar karne ki mujhe kamzoriyan bhi de gaya tahniyan phulon se lad kar rab ke aage jhuk gain mausam-e-gul jate jate titliyan bhi de gaya aasman ne man zamin ki god to bhar di magar de ke bete un ko kuchh na-samjhiyan bhi de gaya