bas ab tark-e-talluq ke bahut pahlu nikalte hain

bas ab tark-e-talluq ke bahut pahlu nikalte hain
so ab ye tai hua hai shahr se sadhu nikalte hain

hum aa nikle ajab se ek sahra-e-mohabbat mein
shikari ke taaqub mein yahan aahu nikalte hain

ye ek manzar bahut hai umr bhar hairan rahne ko
ki mitti ke masamon se bhi rang-o-bu nikalte hain

zamir-e-sang tujh ko tera paikar-saz aa pahuncha
abhi aankhen ubharti hain abhi aansu nikalte hain

koi nadir khazina hai mere dast-e-tasarruf mein
jhapatne ko dar-o-diwar se bazu nikalte hain

main apne dushmanon ka kis qadar mamnun hun 'anwar'
ki un ke shar se kya kya khair ke pahlu nikalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close