ishq majbur-e-fughan ai dil-e-nashad nahin ye to ek husn ki taid hai fariyaad nahin lazzat-e-be-khudi-e-did ki rudad na puchh ek fasana hai jo kuchh yaad hai kuchh yaad nahin ek paband-e-wafa ek jafa ka paband ishq majbur sahi husn bhi aazad nahin husn-e-mani ki tamashai hain nazren meri padh raha hun wo sahife jo mujhe yaad nahin aur bedar hua ishq-o-wafa ka ehsas kaun kahta hai ki kuchh hasil-e-bedad nahin mere meayar-e-mohabbat ko na puchho mujh se intiha ye hai ki ab tum bhi mujhe yaad nahin khak samjhega wo asrar-e-mohabbat ai dost jo meri tarah tere ishq mein barbaad nahin mere dil mein teri taskin ke sau pahlu the o mere bhulne wale tujhe kya yaad nahin yas-o-hirman ka ye aalam hai ki allah allah ab ye dil tere tasawwur se bhi aabaad nahin lazzat-e-ishq hai bedad-o-sitam ke dam se wo chaman hi nahin jis mein koi sayyaad nahin ab bhi milta hai mujhe 'arzu' ishrat ka payam mail-e-aish magar khatir-e-nashad nahin