bas ek baat ki us ko khabar zaruri hai ki wo hamare liye kis qadar zaruri hai dilon mein dard ki daulat bacha bacha ke rakho ye wo mataa hai jo umr bhar zaruri hai nahin zarur ki maqdur ho to sath rakhen kabhi-kabhaar magar nauhagar zaruri hai kabhi to khel parinde bhi haar jate hain hawa kahin ki bhi ho mustaqar zaruri hai ye kya zarur ki mast apne aap hi mein rahen idhar udhar ki bhi kuchh kuchh khabar zaruri hai mafar nahin gham-e-duniya se 'aftab-husain' bahut kathin hai ye manzil magar zaruri hai