bas ek bar faqat ek bar kam se kam siwa mera ho tera ikhtiyar kam se kam har ek rang tujhe dhanp dunga sar-ta-pa teri har ek ka badla hazar kam se kam na sath sath sahi itni dur bhi to na ja ujad mat mere qurb-o-jawar kam se kam hai ittifaq ki insan nikle donon hi huzur-e-wala bahut khaksar kam se kam yun apni sakh bachai kiya use uryan ki apna shewa nahin tu-takar kam se kam sabhi hain ram bharose khuda ki basti mein koi to khud pe kare inhisar kam se kam shikast par koi nauha na fath par nara na zindagi se ho utna farar kam se kam