shikwa sun kar jo mizaj-e-but-e-bad-khu badla hum ne bhi sath hi taqrir ka pahlu badla kahiye to kis ke phansane ki ye tadbiren hain aaj kyun chin-ba-jabin se kham-e-gesu badla ek tera rabt ki do din kabhi yaksan na raha ek mera haal ki hargiz na sar-e-mu badla un hasinon hi ko zeba hai talawwun ai dil han khabar-dar jo bhule se kabhi tu badla dil-e-muztar ki tadap se jo main tadpa 'bekhud' chaara-gar khush hain ki bimar ne pahlu badla