bas ek bar use raushni mein dekha tha phir is ke baad andhera bahut andhera tha wo haal ka nahin mazi ka koi qissa tha jab apne-ap mein main tut kar bikharta tha na manzilon ki talab mein lahu lahu the badan na raston ke liye koi aah bharta tha wo mujh ko saunp gaya manzilon ki mahrumi jo har qadam pe mere sath sath chalta tha na dasht o dar se alag tha na jangalon se juda wo apne shahr mein rahta tha phir bhi tanha tha