bhang khate hain na ganja na charas pite hain hum wo bhanware hain jo ehsas ka ras pite hain aap is dhang se amrit bhi nahin pi sakte jis hunar-mandi se hum ashk-e-nafas pite hain sab yahin chhod ke jaana hai khabar hai lekin phir ye hum kis liye duniya ki hawas pite hain jo teri yaad ke kide hain badan ke andar wo meri ruh ko khate hain plus pite hain tab kahin hota hai ek shahd ka chhatta tayyar an-ginat phulon ka khun jab ye magas pite hain aap ek bund bhi pi len to ghashi aa jae gham ke aansu jo asiran-e-qafas pite hain 'faiz' ki fikr ki botal mein hai jo zahr-e-sukhan dekhna hai ki abhi kitne baras pite hain