bas ek bund thi auraq-e-jaan mein phail gai zara si baat meri dastan mein phail gai hawa ne hath badhaya hi tha ki lau meri tamam shash-jihat-e-jism o jaan mein phail gai wo khwab tha ki khula tha daricha-e-shab-e-hijr tere visal ki khushbu makan mein phail gai jo us ke baad hawa us se be-khabar the sab hawa ne kuchh na kaha baadban mein phail gai khula ki wahm tha aab o sarab ki tamiz pyasi dhup thi aab-e-rawan mein phail gai main us ke tarz-e-takhatub ka zahr pi to gaya magar ajib si talkhi zaban mein phail gai ziyan-nasib shiar-e-wafa sirisht mein hai ye baat kaise saf-e-dushmanan mein phail gai