kyun kahte ho kya meri jafa ko nahin dekha aate hue kah kah ke qaza ko nahin dekha aaina-e-kaunain hain donon meri aankhen tum ko nahin dekha ki khuda ko nahin dekha dekhe to koi tez-rawi umr-e-rawan ki phir kar kabhi naqsh-e-kaf-e-pa ko nahin dekha har khar se yun puchhti hai dasht mein laila tum ne to kisi aabla-pa ko nahin dekha kis ghash pe tumhein naz hai ai hazrat-e-musa un ki nigah-e-hosh-ruba ko nahin dekha aaina-e-wahdat hai dil-e-saf hamara kis but mein nazar shan-e-khuda ko nahin dekha